gharib aankh ke ghar mein pale-baDhe hain KHwab
gharib aankh ke ghar mein pale-baDhe hain KHwab
Subhash Pathak Ziya
MORE BYSubhash Pathak Ziya
ġharīb aañkh ke ghar meñ pale-baḌhe haiñ ḳhvāb
tabhī to niiñd kī qīmat samajh rahe haiñ ḳhvāb
umīd-e-fasl na kiije baġhair paanī ke
bharī bharī haiñ jo āñkheñ hare-bhare haiñ ḳhvāb
haqīqatoñ meñ tū kis kis se rū-ba-rū miltā
sahūlateñ tujhe hoñ is liye bane haiñ ḳhvāb
tumhāre hijr ne tāsīr ḳhuub paa.ī hai
uḌī haiñ niiñd hamārī uḌe hue haiñ ḳhvāb
udāsiyoñ ke sabab hī to ḳhvāb dekhe the
udāsiyoñ kā sabab hī to ban ga.e haiñ ḳhvāb
adhūrī niiñd meñ kis ne jagā diyā ham ko
ḳhafā hue haiñ bahut muñh banā rahe haiñ ḳhvāb
gharib aankh ke ghar mein pale-baDhe hain KHwab
tabhi to nind ki qimat samajh rahe hain KHwab
umid-e-fasl na kije baghair pani ke
bhari bhari hain jo aankhen hare-bhare hain KHwab
haqiqaton mein tu kis kis se ru-ba-ru milta
sahulaten tujhe hon is liye bane hain KHwab
tumhaare hijr ne tasir KHub pai hai
uDi hain nind hamari uDe hue hain KHwab
udasiyon ke sabab hi to KHwab dekhe the
udasiyon ka sabab hi to ban gae hain KHwab
adhuri nind mein kis ne jaga diya hum ko
KHafa hue hain bahut munh bana rahe hain KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.