garm lāsheñ girīñ fasīloñ se
āsmāñ bhar gayā hai chīloñ se
suulī chaḌhne lagī hai ḳhāmoshī
log aa.e haiñ sun ke mīloñ se
kaan meñ aise utrī sargoshī
barf phislī ho jaise Tīloñ se
guuñj kar aise lauTtī hai sadā
koī pūchhe hazāroñ mīloñ se
pyaas bhartī rahī mire andar
aañkh haTtī nahīñ thī jhīloñ se
log kañdhe badal badal ke chale
ghaaT pahuñche baḌe vasīloñ se
garm lashen girin fasilon se
aasman bhar gaya hai chilon se
suli chaDhne lagi hai KHamoshi
log aae hain sun ke milon se
kan mein aise utri sargoshi
barf phisli ho jaise Tilon se
gunj kar aise lauTti hai sada
koi puchhe hazaron milon se
pyas bharti rahi mere andar
aankh haTti nahin thi jhilon se
log kandhe badal badal ke chale
ghaT pahunche baDe wasilon se
- Book : Yaar Julahe (Pg. 166)
- Author : Gulzar
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.