garmiyan shoKHiyan kis shan se hum dekhte hain
garmiyan shoKHiyan kis shan se hum dekhte hain
Wajid Ali Shah Akhtar
MORE BYWajid Ali Shah Akhtar
garmiyāñ shoḳhiyāñ kis shaan se ham dekhte haiñ
kyā hī nādāniyāñ nādān se ham dekhte haiñ
ġhair se bosa-zanī aur hameñ dushnāmeñ
muñh liye apnā pashīmān se ham dekhte haiñ
fasl-e-gul ab kī junūñ-ḳhez nahīñ sad-afsos
duur haath apnā garebān se ham dekhte haiñ
aaj kis shoḳh kī gulshan meñ hinā-bandī hai
sarv raqsāñ haiñ gulistān se ham dekhte haiñ
'aḳhtar'-e-zār bhī ho mus.haf-e-ruḳh par shaidā
faal ye nek hai qur.ān se ham dekhte haiñ
garmiyan shoKHiyan kis shan se hum dekhte hain
kya hi nadaniyan nadan se hum dekhte hain
ghair se bosa-zani aur hamein dushnamen
munh liye apna pashiman se hum dekhte hain
fasl-e-gul ab ki junun-KHez nahin sad-afsos
dur hath apna gareban se hum dekhte hain
aaj kis shoKH ki gulshan mein hina-bandi hai
sarw raqsan hain gulistan se hum dekhte hain
'aKHtar'-e-zar bhi ho mushaf-e-ruKH par shaida
fal ye nek hai quran se hum dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.