gasht mein hai meri nazar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
gasht mein hai meri nazar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
Hamid Husain Hamid
MORE BYHamid Husain Hamid
gasht meñ hai mirī nazar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
phirne lagī idhar-udhar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
sūrat-e-ḳhāk kī basar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
phirtā rahā huuñ umr bhar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
kaun hai tū kahāñ hai tū miltā nahīñ mujhe patā
dhuum hai terī is qadar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
chain nahīñ kisī jagah phirtā huuñ qais kī tarah
duniyā meñ sab ko chhoḌ kar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
nālāñ idhar hai dil mirā jab se koī judā huā
DhūñDhtī hai udhar nazar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
haal kuchh aur ho gayā paḌ ga.e laale jaan ke
Thokareñ khā.īñ is qadar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
dil thā kisī kī yaad thī ashk the aur aah thī
rotā rahā huuñ umr bhar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
dil thā mirā makān-e-dost dil hī meñ thā maqām-e-dost
phir bhī talāsh kī magar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
dair-o-haram meñ kab milā sāmne vo kabhī na thā
DhūñDeñ use kidhar kidhar kidhar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
chain use kahīñ nahīñ phirtā hai 'hāmid'-e-hazīñ
thāme hue dil-o-jigar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
gasht mein hai meri nazar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
phirne lagi idhar-udhar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
surat-e-KHak ki basar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
phirta raha hun umr bhar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
kaun hai tu kahan hai tu milta nahin mujhe pata
dhum hai teri is qadar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
chain nahin kisi jagah phirta hun qais ki tarah
duniya mein sab ko chhoD kar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
nalan idhar hai dil mera jab se koi juda hua
DhunDhti hai udhar nazar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
haal kuchh aur ho gaya paD gae lale jaan ke
Thokaren khain is qadar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
dil tha kisi ki yaad thi ashk the aur aah thi
rota raha hun umr bhar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
dil tha mera makan-e-dost dil hi mein tha maqam-e-dost
phir bhi talash ki magar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
dair-o-haram mein kab mila samne wo kabhi na tha
DhunDen use kidhar kidhar kidhar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
chain use kahin nahin phirta hai 'hamid'-e-hazin
thame hue dil-o-jigar kucha-ba-kucha dar-ba-dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.