ghaugha khaTpaT chiKHam dhaD
ġhauġhā khaTpaT chīḳham dhaaḌ
uf āvāzoñ ke jhankāḌ
raat ghanā jañgal aur maiñ
ek chanā kyā phoḌe bhaaḌ
majnūñ kā anjām to soch
yaar mire mat kapḌe phaaḌ
zulmat māregī shab-ḳhūn
raushniyoñ kī le kar aaḌ
apnā ganjā chāñd sambhāl
mere sar par dhuul na jhaaḌ
āḳhir tujh ko māneñge
naqqādoñ ko ḳhuub latāḌ
dekho kab tak baaqī haiñ
dariyā jañgal aur pahāḌ
hamdam-e-derīna hañs-bol
yādoñ ke murde na ukhāḌ
phir sūraj se Takrānā
dhartī meñ to panje gaaḌ
ghaugha khaTpaT chiKHam dhaD
uf aawazon ke jhankaD
raat ghana jangal aur main
ek chana kya phoDe bhaD
majnun ka anjam to soch
yar mere mat kapDe phaD
zulmat maregi shab-KHun
raushniyon ki le kar aaD
apna ganja chand sambhaal
mere sar par dhul na jhaD
aaKHir tujh ko manenge
naqqadon ko KHub lataD
dekho kab tak baqi hain
dariya jangal aur pahaD
hamdam-e-derina hans-bol
yaadon ke murde na ukhaD
phir suraj se Takrana
dharti mein to panje gaD
- Book : kamaan (Pg. 254)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.