ghaur se dekh yar KHatra hai
ġhaur se dekh yaar ḳhatra hai
ishq meñ be-shumār ḳhatra hai
phir vahī aap kā yaqīñ ham par
phir vahī e'tibār ḳhatra hai
har chamakte hue sitāre kā
jugnuoñ meñ shumār ḳhatra hai
itnī shiddat se dekhne vaale
shiddat-e-etizār ḳhatra hai
koī nādān ko ye samjhā.e
aap apnā shikār ḳhatra hai
aur koī nazar na aa.e hameñ
is qadar ḳhud se pyaar ḳhatra hai
saaf lafzoñ meñ kar bayāñ 'jyotī'
dil meñ uThtā ġhubār ḳhatra hai
ghaur se dekh yar KHatra hai
ishq mein be-shumar KHatra hai
phir wahi aap ka yaqin hum par
phir wahi e'tibar KHatra hai
har chamakte hue sitare ka
jugnuon mein shumar KHatra hai
itni shiddat se dekhne wale
shiddat-e-etizar KHatra hai
koi nadan ko ye samjhae
aap apna shikar KHatra hai
aur koi nazar na aae hamein
is qadar KHud se pyar KHatra hai
saf lafzon mein kar bayan 'jyoti'
dil mein uThta ghubar KHatra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.