gaya ab aaftab-e-hashr ka bhi jalwa-gar hona
gayā ab āftāb-e-hashr kā bhī jalva-gar honā
shab-e-furqat hamārī hai ye kyā jaane sahar honā
vahāñ jā kar mire nāloñ kā yārab be-asar honā
qayāmat thā kisī kā raat ko dushman ke ghar honā
bahut achchhe haiñ jin par zulm hote haiñ zamāne ke
isī ko ahl-e-dil kahte haiñ manzūr-e-nazar honā
ḳhayāl ik nāznīñ kā dil meñ phir rah rah ke aatā hai
zarā siine meñ ab tham tham ke o dard-e-jigar honā
hazāroñ neshtar paivast hoñ jis kī rag-e-jāñ meñ
use dushvār hai marhūn-e-sa.ī-e-chārāgar honā
ye kyā kam hai milī qaid-e-qafas se mujh ko āzādī
mere kaam aa gayā āḳhir mirā be-bāl-o-par honā
bahut hī ibrat-añgez aur hasrat-ḳhez manzar hai
lahad par ek be-kas ke kisī kā nauhagar honā
irāde ḳhushk zāhid hauz-e-mai ho jā.eñge ḳhālī
koī āsāñ hai ai 'safdar' tere dāman kā tar honā
gaya ab aaftab-e-hashr ka bhi jalwa-gar hona
shab-e-furqat hamari hai ye kya jaane sahar hona
wahan ja kar mere nalon ka yarab be-asar hona
qayamat tha kisi ka raat ko dushman ke ghar hona
bahut achchhe hain jin par zulm hote hain zamane ke
isi ko ahl-e-dil kahte hain manzur-e-nazar hona
KHayal ek naznin ka dil mein phir rah rah ke aata hai
zara sine mein ab tham tham ke o dard-e-jigar hona
hazaron neshtar paiwast hon jis ki rag-e-jaan mein
use dushwar hai marhun-e-sai-e-chaaragar hona
ye kya kam hai mili qaid-e-qafas se mujh ko aazadi
mere kaam aa gaya aaKHir mera be-baal-o-par hona
bahut hi ibrat-angez aur hasrat-KHez manzar hai
lahad par ek be-kas ke kisi ka nauhagar hona
irade KHushk zahid hauz-e-mai ho jaenge KHali
koi aasan hai ai 'safdar' tere daman ka tar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.