gaya jawani ka sath sab kuchh wo garmi-e-ishq ab kahan hai
gaya jawani ka sath sab kuchh wo garmi-e-ishq ab kahan hai
Imdad Ali Bahr
MORE BYImdad Ali Bahr
gayā javānī kā saath sab kuchh vo garmi-e-ishq ab kahāñ hai
jo maiñ ne us vaqt aah kī hai bujhī huī aag kā dhuāñ hai
lage bujhātā nahīñ vo dushman jalan ye hai pheñk rahā hai tan-man
charāġh sā dāġh-e-dil hai raushan diyā-salā.ī hai ustuḳhvāñ hai
tabī.at apnī hai kyuuñ mukaddar nahīñ samajhtā na samjhe dilbar
karegā dushman bhī rahm ham par agar ḳhudā apnā mehrbāñ hai
khule haiñ dāġhoñ ke phuul tan par bahār-e-tāza hai ai gul-e-tar
kabhī to merī taraf nazar kar chaman meñ kyā shāḳh-e-za.afrān hai
kabhī hai mānind-e-mauj-e-dariyā kabhī hai misl-e-ġhubār-e-sahrā
kahūñ maiñ kyā haal apne dil kā bichhaḌ ke mujh se ravāñ-davāñ hai
talaf hue jis meñ zindagānī basar hue jis meñ naujavānī
vo merī biitī huī kahānī suno agar shauq-e-dāstāñ hai
yahī haiñ ma.anī-e-ishq-e-kāmil ki sau balāoñ se huuñ muqābil
buland hai ab jo nāla-e-dil sipāh-e-andoh kā nishāñ hai
ḳhudā na dikhlā.e achchhī sūrat abhī to aa jaatī hai harārat
paḌegī be-shak nigāh-e-ulfat za.iif go maiñ huuñ dil javāñ hai
hazār afsos umr khoī na dekhā dīn-dār ham ne koī
hai vā.izoñ meñ fasāna-goī madrasoñ meñ chunīñ-chunāñ hai
barā-e-zar muttaqī bane haiñ husūl ke mas.ale chhine haiñ
murīd jo haiñ vo but bane haiñ matā-e-islām rā.egāñ hai
koī to 'saudā' kā hai muvassif koī 'taqī'-mīr kā muārrif
batāo ai dostān-e-munsif ka.ī hamārā bhī qadr-dāñ hai
sune hai maiñ ne fuġhān-e-bulbul bahār meñ hai mujhe ta.ammul
chaTak rahā hai jo ġhuncha-e-gul sadā-e-naqqāra-e-ḳhizāñ hai
kiyā hai kyuuñ 'bahr' se kinārā tirī judā.ī ne mujh ko maarā
are but-e-sañg-dil ḳhudā-rā bulā le mujh ko bhī to jahāñ hai
gaya jawani ka sath sab kuchh wo garmi-e-ishq ab kahan hai
jo main ne us waqt aah ki hai bujhi hui aag ka dhuan hai
lage bujhata nahin wo dushman jalan ye hai phenk raha hai tan-man
charagh sa dagh-e-dil hai raushan diya-salai hai ustuKHwan hai
tabiat apni hai kyun mukaddar nahin samajhta na samjhe dilbar
karega dushman bhi rahm hum par agar KHuda apna mehrban hai
khule hain daghon ke phul tan par bahaar-e-taza hai ai gul-e-tar
kabhi to meri taraf nazar kar chaman mein kya shaKH-e-zafran hai
kabhi hai manind-e-mauj-e-dariya kabhi hai misl-e-ghubar-e-sahra
kahun main kya haal apne dil ka bichhaD ke mujh se rawan-dawan hai
talaf hue jis mein zindagani basar hue jis mein naujawani
wo meri biti hui kahani suno agar shauq-e-dastan hai
yahi hain mani-e-ishq-e-kaamil ki sau balaon se hun muqabil
buland hai ab jo nala-e-dil sipah-e-andoh ka nishan hai
KHuda na dikhlae achchhi surat abhi to aa jati hai hararat
paDegi be-shak nigah-e-ulfat zaif go main hun dil jawan hai
hazar afsos umr khoi na dekha din-dar hum ne koi
hai waizon mein fasana-goi madrason mein chunin-chunan hai
bara-e-zar muttaqi bane hain husul ke masale chhine hain
murid jo hain wo but bane hain mata-e-islam raegan hai
koi to 'sauda' ka hai muwassif koi 'taqi'-mir ka muarrif
batao ai dostan-e-munsif kai hamara bhi qadr-dan hai
sune hai main ne fughan-e-bulbul bahaar mein hai mujhe tammul
chaTak raha hai jo ghuncha-e-gul sada-e-naqqara-e-KHizan hai
kiya hai kyun 'bahr' se kinara teri judai ne mujh ko mara
are but-e-sang-dil KHuda-ra bula le mujh ko bhi to jahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.