ghazab kiya tere wade pe etibar kiya
ġhazab kiyā tire va.ade pe e'tibār kiyā
tamām raat qayāmat kā intizār kiyā
kisī tarah jo na us but ne e'tibār kiyā
mirī vafā ne mujhe ḳhuub sharmsār kiyā
hañsā hañsā ke shab-e-vasl ashk-bār kiyā
tasalliyāñ mujhe de de ke be-qarār kiyā
ye kis ne jalva hamāre sar-e-mazār kiyā
ki dil se shor uThā haa.e be-qarār kiyā
sunā hai teġh ko qātil ne āb-dār kiyā
agar ye sach hai to be-shub.ha ham pe vaar kiyā
na aa.e raah pe vo ijz be-shumār kiyā
shab-e-visāl bhī maiñ ne to intizār kiyā
tujhe to vāda-e-dīdār ham se karnā thā
ye kyā kiyā ki jahāñ ko umīd-vār kiyā
ye dil ko taab kahāñ hai ki ho ma.āl-andesh
unhoñ ne va.ada kiyā is ne e'tibār kiyā
kahāñ kā sabr ki dam par hai ban ga.ī zālim
ba tang aa.e to hāl-e-dil āshkār kiyā
taḌap phir ai dil-e-nādāñ ki ġhair kahte haiñ
aḳhīr kuchh na banī sabr iḳhtiyār kiyā
mile jo yaar kī shoḳhī se us kī bechainī
tamām raat dil-e-muztarib ko pyaar kiyā
bhulā bhulā ke jatāyā hai un ko rāz-e-nihāñ
chhupā chhupā ke mohabbat ko āshkār kiyā
na us ke dil se miTāyā ki saaf ho jaatā
sabā ne ḳhaak pareshāñ mirā ġhubār kiyā
ham aise mahv-e-nazāra na the jo hosh aatā
magar tumhāre taġhāful ne hoshyār kiyā
hamāre siine meñ jo rah ga.ī thī ātish-e-hijr
shab-e-visāl bhī us ko na ham-kanār kiyā
raqīb o sheva-e-ulfat ḳhudā kī qudrat hai
vo aur ishq bhalā tum ne e'tibār kiyā
zabān-e-ḳhār se niklī sadā-e-bismillāh
junūñ ko jab sar-e-shorīda par savār kiyā
tirī nigah ke tasavvur meñ ham ne ai qātil
lagā lagā ke gale se chhurī ko pyaar kiyā
ġhazab thī kasrat-e-mahfil ki maiñ ne dhoke meñ
hazār baar raqīboñ ko ham-kanār kiyā
huā hai koī magar us kā chāhne vaalā
ki āsmāñ ne tirā sheva iḳhtiyār kiyā
na pūchh dil kī haqīqat magar ye kahte haiñ
vo be-qarār rahe jis ne be-qarār kiyā
jab un ko tarz-e-sitam aa ga.e to hosh aayā
burā ho dil kā bure vaqt hoshyār kiyā
fasāna-e-shab-e-ġham un ko ik kahānī thī
kuchh e'tibār kiyā kuchh na e'tibār kiyā
asīrī dil-e-āshufta rang lā ke rahī
tamām turra-e-tarrār taar taar kiyā
kuchh aa ga.ī dāvar-e-mahshar se hai ummīd mujhe
kuchh aap ne mire kahne kā e'tibār kiyā
kisī ke ishq-e-nihāñ meñ ye bad-gumānī thī
ki Darte Darte ḳhudā par bhī āshkār kiyā
falak se taur qayāmat ke ban na paḌte the
aḳhīr ab tujhe āshob-e-rozgār kiyā
vo baat kar jo kabhī āsmāñ se ho na sake
sitam kiyā to baḌā tū ne iftiḳhār kiyā
banegā mehr-e-qayāmat bhī ek ḳhāl-e-siyāh
jo chehra 'dāġh'-e-siyah-rū ne āshkār kiyā
ghazab kiya tere wade pe e'tibar kiya
tamam raat qayamat ka intizar kiya
kisi tarah jo na us but ne e'tibar kiya
meri wafa ne mujhe KHub sharmsar kiya
hansa hansa ke shab-e-wasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de de ke be-qarar kiya
ye kis ne jalwa hamare sar-e-mazar kiya
ki dil se shor uTha hae be-qarar kiya
suna hai tegh ko qatil ne aab-dar kiya
agar ye sach hai to be-shubha hum pe war kiya
na aae rah pe wo ijz be-shumar kiya
shab-e-visal bhi main ne to intizar kiya
tujhe to wada-e-didar hum se karna tha
ye kya kiya ki jahan ko umid-war kiya
ye dil ko tab kahan hai ki ho maal-andesh
unhon ne wada kiya is ne e'tibar kiya
kahan ka sabr ki dam par hai ban gai zalim
ba tang aae to haal-e-dil aashkar kiya
taDap phir ai dil-e-nadan ki ghair kahte hain
aKHir kuchh na bani sabr iKHtiyar kiya
mile jo yar ki shoKHi se us ki bechaini
tamam raat dil-e-muztarib ko pyar kiya
bhula bhula ke jataya hai un ko raaz-e-nihan
chhupa chhupa ke mohabbat ko aashkar kiya
na us ke dil se miTaya ki saf ho jata
saba ne KHak pareshan mera ghubar kiya
hum aise mahw-e-nazara na the jo hosh aata
magar tumhaare taghaful ne hoshyar kiya
hamare sine mein jo rah gai thi aatish-e-hijr
shab-e-visal bhi us ko na ham-kanar kiya
raqib o shewa-e-ulfat KHuda ki qudrat hai
wo aur ishq bhala tum ne e'tibar kiya
zaban-e-KHar se nikli sada-e-bismillah
junun ko jab sar-e-shorida par sawar kiya
teri nigah ke tasawwur mein hum ne ai qatil
laga laga ke gale se chhuri ko pyar kiya
ghazab thi kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke mein
hazar bar raqibon ko ham-kanar kiya
hua hai koi magar us ka chahne wala
ki aasman ne tera shewa iKHtiyar kiya
na puchh dil ki haqiqat magar ye kahte hain
wo be-qarar rahe jis ne be-qarar kiya
jab un ko tarz-e-sitam aa gae to hosh aaya
bura ho dil ka bure waqt hoshyar kiya
fasana-e-shab-e-gham un ko ek kahani thi
kuchh e'tibar kiya kuchh na e'tibar kiya
asiri dil-e-ashufta rang la ke rahi
tamam turra-e-tarrar tar tar kiya
kuchh aa gai dawar-e-mahshar se hai ummid mujhe
kuchh aap ne mere kahne ka e'tibar kiya
kisi ke ishq-e-nihan mein ye bad-gumani thi
ki Darte Darte KHuda par bhi aashkar kiya
falak se taur qayamat ke ban na paDte the
aKHir ab tujhe aashob-e-rozgar kiya
wo baat kar jo kabhi aasman se ho na sake
sitam kiya to baDa tu ne iftiKHar kiya
banega mehr-e-qayamat bhi ek KHal-e-siyah
jo chehra 'dagh'-e-siyah-ru ne aashkar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.