ghazal ghaalib na tanha mir se hai
ġhazal 'ġhālib' na tanhā 'mīr' se hai
juḌī sad halqa-e-zanjīr se hai
muqaddar ho chukī thī maut lekin
ye dil zinda kisī tadbīr se hai
maiñ manzar aur na pas-manzar ko dekhūñ
mujhe matlab tirī tasvīr se hai
gire hote mire aañsū to rotā
ki terā ġham mirī taqdīr se hai
maiñ baiThā huuñ duā se haath uThā.e
nadāmat is qadar taqsīr se hai
faqat duniyā ise samjhūñ ki mānūñ
tirī manshā mirī tash.hīr se hai
maiñ ḳhud saaya huuñ 'afsar' apne qad kā
mirā qāmat mirī tahrīr se hai
ghazal 'ghaalib' na tanha 'mir' se hai
juDi sad halqa-e-zanjir se hai
muqaddar ho chuki thi maut lekin
ye dil zinda kisi tadbir se hai
main manzar aur na pas-manzar ko dekhun
mujhe matlab teri taswir se hai
gire hote mere aansu to rota
ki tera gham meri taqdir se hai
main baiTha hun dua se hath uThae
nadamat is qadar taqsir se hai
faqat duniya ise samjhun ki manun
teri mansha meri tashhir se hai
main KHud saya hun 'afsar' apne qad ka
mera qamat meri tahrir se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.