ghazal ghazal wahi chehra dikhai deta hai
ġhazal ġhazal vahī chehra dikhā.ī detā hai
suḳhan suḳhan vahī goyā dikhā.ī detā hai
qabā-e-surḳh meñ kyā hai ki dekhte rahiye
vo har libās meñ achchhā dikhā.ī detā hai
bahut qarīb na aao maiñ aa.ina hī sahī
bahut qarīb se dhuñdlā dikhā.ī detā hai
ye kyā sitam hai ki bastī ke ek hī ghar meñ
ka.ī gharoñ kā ujālā dikhā.ī detā hai
koī ḳhayāl na sūrat na zā.iqa na pukār
bas ek vahm guzartā dikhā.ī detā hai
ḳhizāñ kī dhuup meñ maiñ ne kahā na thā ki mujhe
harā-bharā koī saaya dikhā.ī detā hai
kisī ke haath meñ kaasa nahīñ magar 'āsim'
har ek haath meñ kaasa dikhā.ī detā hai
ghazal ghazal wahi chehra dikhai deta hai
suKHan suKHan wahi goya dikhai deta hai
qaba-e-surKH mein kya hai ki dekhte rahiye
wo har libas mein achchha dikhai deta hai
bahut qarib na aao main aaina hi sahi
bahut qarib se dhundla dikhai deta hai
ye kya sitam hai ki basti ke ek hi ghar mein
kai gharon ka ujala dikhai deta hai
koi KHayal na surat na zaiqa na pukar
bas ek wahm guzarta dikhai deta hai
KHizan ki dhup mein main ne kaha na tha ki mujhe
hara-bhara koi saya dikhai deta hai
kisi ke hath mein kasa nahin magar 'asim'
har ek hath mein kasa dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.