ghazal-goi ke fan ka yun kabhi izhaar hota hai
ghazal-goi ke fan ka yun kabhi izhaar hota hai
Amanullah Shad Sanai
MORE BYAmanullah Shad Sanai
ġhazal-goī ke fan kā yuuñ kabhī iz.hār hotā hai
mohabbat dil se hotī hai nazar se pyaar hotā hai
tasādum do nigāhoñ kā bhī kyā kyā gul khilātā hai
samīm-e-qalb se phir ishq kā iqrār hotā hai
mohabbat karne vāloñ kā hasīn anjām kyā jaano
shagufta phuul khilte haiñ gul-e-gulzār hotā hai
vo jis se pyaar kartā hai usī kī chaah meñ har-dam
marīz-e-ishq ban ban kar sadā bīmār hotā hai
zamāne kī jafāoñ kā koī shikva nahīñ hargiz
vo maqtal meñ sajātā hai jo ḳhud dildār hotā hai
dhaḌakte dil se ik duuje kī bāñhoñ meñ samā jaatā
kaho ai 'shād' yahī anjām āḳhir hotā hai
ghazal-goi ke fan ka yun kabhi izhaar hota hai
mohabbat dil se hoti hai nazar se pyar hota hai
tasadum do nigahon ka bhi kya kya gul khilata hai
samim-e-qalb se phir ishq ka iqrar hota hai
mohabbat karne walon ka hasin anjam kya jaano
shagufta phul khilte hain gul-e-gulzar hota hai
wo jis se pyar karta hai usi ki chah mein har-dam
mariz-e-ishq ban ban kar sada bimar hota hai
zamane ki jafaon ka koi shikwa nahin hargiz
wo maqtal mein sajata hai jo KHud dildar hota hai
dhaDakte dil se ek duje ki banhon mein sama jata
kaho ai 'shad' yahi anjam aaKHir hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.