ghazal jab taza kahta hun purani bhul jata hun
ghazal jab taza kahta hun purani bhul jata hun
Shah Room Khan wali
MORE BYShah Room Khan wali
ġhazal jab taaza kahtā huuñ purānī bhuul jaatā huuñ
fasāna likhne baiThūñ to kahānī bhuul jaatā huuñ
mirī raftār duniyā se bahut hī tez hotī hai
ragoñ meñ ḳhuun kī aksar ravānī bhuul jaatā huuñ
mire hāthoñ meñ jab bhī vo hinā.ī haath rakhtī hai
maiñ bāteñ sab zamīnī aur zamānī bhuul jaatā huuñ
maiñ nūr-e-āgahī ke qurmuzī-dhāroñ meñ rahtā huuñ
añdherī shab ke māthe kī nishānī bhuul jaatā huuñ
maiñ sāhil par khaḌā huuñ ye samundar muztarib kyoñ hai
maiñ in sochoñ meñ gum siipī uThānī bhuul jaatā huuñ
kisī būḌhe shajar par jab 'valī' merī nazar jaa.e
buḌhāpe ke tasavvur meñ javānī bhuul jaatā huuñ
ghazal jab taza kahta hun purani bhul jata hun
fasana likhne baiThun to kahani bhul jata hun
meri raftar duniya se bahut hi tez hoti hai
ragon mein KHun ki aksar rawani bhul jata hun
mere hathon mein jab bhi wo hinai hath rakhti hai
main baaten sab zamini aur zamani bhul jata hun
main nur-e-agahi ke qurmuzi-dhaaron mein rahta hun
andheri shab ke mathe ki nishani bhul jata hun
main sahil par khaDa hun ye samundar muztarib kyon hai
main in sochon mein gum sipi uThani bhul jata hun
kisi buDhe shajar par jab 'wali' meri nazar jae
buDhape ke tasawwur mein jawani bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.