ghazal kahun to main apni ghazal ke sath rahun
ghazal kahun to main apni ghazal ke sath rahun
Uddhav Mahajan Bismil
MORE BYUddhav Mahajan Bismil
ġhazal kahūñ to maiñ apnī ġhazal ke saath rahūñ
suḳhan kī raah meñ paiham amal ke saath rahūñ
bikhertā rahūñ ḳhushbū har ek mahfil meñ
gulāb champā chañbelī kañval ke saath rahūñ
banūñ sahārā maiñ duniyā meñ be-sahāroñ kā
tire karam se ḳhudāyā maiñ bal ke saath rahūñ
laḌā.ī karne se behtar hai sulh kartā rahūñ
isī umiid se maiñ aaj kal ke saath rahūñ
ghazal kahun to main apni ghazal ke sath rahun
suKHan ki rah mein paiham amal ke sath rahun
bikherta rahun KHushbu har ek mahfil mein
gulab champa chanbeli kanwal ke sath rahun
banun sahaara main duniya mein be-sahaaron ka
tere karam se KHudaya main bal ke sath rahun
laDai karne se behtar hai sulh karta rahun
isi umid se main aaj kal ke sath rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.