ghazal ke misra ko misra se joDa jata hai
ġhazal ke misra.a ko misra.a se joḌā jaatā hai
tamām raat ġhamoñ ko nichoḌā jaatā hai
purāne jaal se bāhar nikalnā mushkil hai
isī liye to rivāyat ko toḌā jaatā hai
utar gayā huuñ to ab jītnā hī manzil hai
yuuñ ham se bhī kahāñ maidān chhoḌā jaatā hai
uThānā paḌtā hai phir haath gar nahīñ sudhre
haañ pahlī baar meñ hāthoñ ko joḌā jaatā hai
yahāñ pe hindū bhī hoñge yahāñ musalmāñ bhī
ye shā.irī hai yahāñ sab ko joḌā jaatā hai
dikhā diyā mire dushman ne dostī kar ke
ġhurūr TuuTā nahīñ hai to toḌā jaatā hai
likhā thā naam jahāñ tū ne ḳhūn-e-dil se mirā
vahīñ se ishq ke kāġhaz ko moḌā jaatā hai
ghazal ke misra ko misra se joDa jata hai
tamam raat ghamon ko nichoDa jata hai
purane jal se bahar nikalna mushkil hai
isi liye to riwayat ko toDa jata hai
utar gaya hun to ab jitna hi manzil hai
yun hum se bhi kahan maidan chhoDa jata hai
uThana paDta hai phir hath gar nahin sudhre
han pahli bar mein hathon ko joDa jata hai
yahan pe hindu bhi honge yahan musalman bhi
ye shairi hai yahan sab ko joDa jata hai
dikha diya mere dushman ne dosti kar ke
ghurur TuTa nahin hai to toDa jata hai
likha tha nam jahan tu ne KHun-e-dil se mera
wahin se ishq ke kaghaz ko moDa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.