ghazlon ki kaenat ka badla hua hai Dhang
ġhazloñ kī kā.enāt kā badlā huā hai Dhañg
allāh jaane kis ghaḌī bedār ho malañg
maiñ bhī mirā raqīb bhī donoñ haiñ zaḳhm zaḳhm
donoñ lahūluhān haiñ ye hai anā kā rañg
sar kāTtā na aap kā kartā maiñ kyā bhalā
is baar laḌ rahā thā maiñ apnī baqā kī jañg
muflis ne gar amiir ko chāñTā jaḌā to kyā
ātish-fishāñ bhī paltā hai ġhurbat ke sañg sañg
kab tak bhalā yuuñ jhuuT kī rassī baTe.ge aap
kab tak bhalā yuuñ pesh kareñge bhī uzr-e-lañg
is vāste vo āñkhoñ meñ halqa-ba-gosh haiñ
dil ke qarīb jaatī hai āñkhoñ se ik surañg
sajde meñ vālida ke ye 'hassās' thā asar
dast-e-duā ne jiit lī dast-e-qazā se jañg
ghazlon ki kaenat ka badla hua hai Dhang
allah jaane kis ghaDi bedar ho malang
main bhi mera raqib bhi donon hain zaKHm zaKHm
donon lahuluhan hain ye hai ana ka rang
sar kaTta na aap ka karta main kya bhala
is bar laD raha tha main apni baqa ki jang
muflis ne gar amir ko chanTa jaDa to kya
aatish-fishan bhi palta hai ghurbat ke sang sang
kab tak bhala yun jhuT ki rassi baTege aap
kab tak bhala yun pesh karenge bhi uzr-e-lang
is waste wo aankhon mein halqa-ba-gosh hain
dil ke qarib jati hai aankhon se ek surang
sajde mein walida ke ye 'hassas' tha asar
dast-e-dua ne jit li dast-e-qaza se jang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.