gerwe kapDe badan par hath lohe ke kaDe
gerve kapḌe badan par haath lohe ke kaḌe
le malāmat-dār suufī dar pe tere aa paḌe
iḳhtiyārāt-e-dayār-e-dahr hāsil hoñ mujhe
mehr se sonā-kashīdoñ maah se chāñdī jhaḌe
bhej de mujh ko jahān-e-hissiyāt-o-lams meñ
shor se uljhe samā.at aañkh se manzar laḌe
surḳh īñToñ kī galī tak jaa.eñ ham dīvāna-vār
daf.atan apnī nigah us ke darīche par paḌe
us ta.affun-gāh sā ik aur sayyāra bhī ho
peḌ marte hoñ jahāñ tālāb meñ paanī saḌe
har masīhā-e-zamāñ ko ḳhair-maqdam chāhiye
taaj ho kāñToñ kā sar par meḳh hāthoñ meñ gaḌe
gerwe kapDe badan par hath lohe ke kaDe
le malamat-dar sufi dar pe tere aa paDe
iKHtiyaraat-e-dayar-e-dahr hasil hon mujhe
mehr se sona-kashidon mah se chandi jhaDe
bhej de mujh ko jahan-e-hissiyat-o-lams mein
shor se uljhe samaat aankh se manzar laDe
surKH inTon ki gali tak jaen hum diwana-war
dafatan apni nigah us ke dariche par paDe
us taffun-gah sa ek aur sayyara bhi ho
peD marte hon jahan talab mein pani saDe
har masiha-e-zaman ko KHair-maqdam chahiye
taj ho kanTon ka sar par meKH hathon mein gaDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.