gesu-e-dauran ko kam kam jitna suljhata hun main
gesu-e-dauran ko kam kam jitna suljhata hun main
Ram Parshad Sharda
MORE BYRam Parshad Sharda
gesu-e-daurāñ ko kam kam jitnā suljhātā huuñ maiñ
kyā qayāmat hai ki utnā hī ulajh jaatā huuñ maiñ
nabz kī raftār ḳhud kah degī ahvāl-e-marīz
ai tabīb-e-vaqt kuchh kahne se ghabrātā huuñ maiñ
faisla-kun baat ho jaatī hai aksar us ghaḌī
zindagī ke rū-ba-rū jab maut ko paatā huuñ maiñ
un ke aane kā tasavvur un ke jaane kā ḳhayāl
har do-ālam ke tasavvur se laraz jaatā huuñ maiñ
sard-mehrī-e-zamāna kā huā hai jab asar
apnī shiryānoñ meñ ḳhūn-e-garm dauḌātā huuñ maiñ
munfa.il hone pe bhī merī ḳhatāoñ kā shumār
kaisā dastūr-e-adālat is jagah paatā huuñ maiñ
haa.e bismil to na samjhā muqtazā-e-vaqt ko
nā-samajh le apnā qissa phir se dohrātā huuñ maiñ
gesu-e-dauran ko kam kam jitna suljhata hun main
kya qayamat hai ki utna hi ulajh jata hun main
nabz ki raftar KHud kah degi ahwal-e-mariz
ai tabib-e-waqt kuchh kahne se ghabraata hun main
faisla-kun baat ho jati hai aksar us ghaDi
zindagi ke ru-ba-ru jab maut ko pata hun main
un ke aane ka tasawwur un ke jaane ka KHayal
har do-alam ke tasawwur se laraz jata hun main
sard-mehri-e-zamana ka hua hai jab asar
apni shiryanon mein KHun-e-garm dauData hun main
munfail hone pe bhi meri KHataon ka shumar
kaisa dastur-e-adalat is jagah pata hun main
hae bismil to na samjha muqtaza-e-waqt ko
na-samajh le apna qissa phir se dohraata hun main
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 85)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.