ghaT par KHatm har kahani hai
ghaaT par ḳhatm har kahānī hai
raakh hī āḳhirī nishānī hai
zinda rah kar kise samajh aayā
sab ne mar kar ye baat jaanī hai
log aate haiñ log jaate haiñ
ham ko bhī rasm hī nibhānī hai
kaise kah duuñ ki ḳhatm hai sab kuchh
jhūTī ummīd jo dilānī hai
ghaT par KHatm har kahani hai
rakh hi aaKHiri nishani hai
zinda rah kar kise samajh aaya
sab ne mar kar ye baat jaani hai
log aate hain log jate hain
hum ko bhi rasm hi nibhani hai
kaise kah dun ki KHatm hai sab kuchh
jhuTi ummid jo dilani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.