ghayal hai teri shahzadi shahzade
ghāyal hai terī shahzādī shahzāde
tū ne jo har baat bhulā dī shahzāde
har jānib ho ek munādī shahzāde
terī ho ga.ī ye shahzādī shahzāde
hañste hañste rotī huuñ phir hañstī huuñ
ishq ne kaisī mujh ko sazā dī shahzāde
aaj bhī arsh ko dekhā terā naam liyā
aaj bhī maiñ ne tujh ko duā dī shahzāde
shaam Dhale to dard bhī apnī aamad kī
kar detā hai roz munādī shahzāde
ham ne to bas pyaar kiyā thā paap nahīñ
logoñ ne to baat baḌhā dī shahzāde
tujh ko chāhā to phir TuuT ke chāhā hai
sho.aloñ ko bhī ḳhuub havā dī shahzāde
qabr pe rote rahne se sukh pāoge
tum ne kitnī der lagā dī shahzāde
bolo āḳhir dil par kyā kuchh bītegī
tum ne jo har yaad miTā dī shahzāde
jitnī umr hai baaqī vo bhī tere naam
jitnī thī vo tujh pe luTā dī shahzāde
aaj 'rabāb' ke lab par chīḳhī ḳhāmoshī
ḳhāmoshī ne tujh ko sadā dī shahzāde
ghayal hai teri shahzadi shahzade
tu ne jo har baat bhula di shahzade
har jaanib ho ek munadi shahzade
teri ho gai ye shahzadi shahzade
hanste hanste roti hun phir hansti hun
ishq ne kaisi mujh ko saza di shahzade
aaj bhi arsh ko dekha tera nam liya
aaj bhi main ne tujh ko dua di shahzade
sham Dhale to dard bhi apni aamad ki
kar deta hai roz munadi shahzade
hum ne to bas pyar kiya tha pap nahin
logon ne to baat baDha di shahzade
tujh ko chaha to phir TuT ke chaha hai
shoalon ko bhi KHub hawa di shahzade
qabr pe rote rahne se sukh paoge
tum ne kitni der laga di shahzade
bolo aaKHir dil par kya kuchh bitegi
tum ne jo har yaad miTa di shahzade
jitni umr hai baqi wo bhi tere nam
jitni thi wo tujh pe luTa di shahzade
aaj 'rabab' ke lab par chiKHi KHamoshi
KHamoshi ne tujh ko sada di shahzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.