ghaDi ghaDi nae chehre badal rahe hain hum
ghaḌī ghaḌī na.e chehre badal rahe haiñ ham
na.ī hayāt ke sāñchoñ meñ Dhal rahe haiñ ham
shab-e-sitam ke añdhere meñ sham.a kī mānind
ḳhud apnī aag meñ sadiyoñ se jal rahe haiñ ham
hazār vaqt ke tūfāñ ne Thokareñ mārīñ
magar chaTān kī sūrat aTal rahe haiñ ham
na rāhbar hai koī aur na manziloñ ke nishāñ
na jaane kis ke sahāre pe chal rahe haiñ ham
tamāzat-e-nigah-e-yār kā karishma hai
ki aaj barf kī sūrat pighal rahe haiñ ham
sajāo dār-o-rasan le ke aao zanjīreñ
hudūd-e-sahn-e-chaman se nikal rahe haiñ ham
hameñ talāsh na kiije amal kī duniyā meñ
usuul ban ke kitāboñ meñ pal rahe haiñ ham
ghaDi ghaDi nae chehre badal rahe hain hum
nai hayat ke sanchon mein Dhal rahe hain hum
shab-e-sitam ke andhere mein shama ki manind
KHud apni aag mein sadiyon se jal rahe hain hum
hazar waqt ke tufan ne Thokaren marin
magar chaTan ki surat aTal rahe hain hum
na rahbar hai koi aur na manzilon ke nishan
na jaane kis ke sahaare pe chal rahe hain hum
tamazat-e-nigah-e-yar ka karishma hai
ki aaj barf ki surat pighal rahe hain hum
sajao dar-o-rasan le ke aao zanjiren
hudud-e-sahn-e-chaman se nikal rahe hain hum
hamein talash na kije amal ki duniya mein
usul ban ke kitabon mein pal rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.