ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai
ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai
Neelam Malik
MORE BYNeelam Malik
ghane añdhere meñ raushnī kī kalī khilī hai bahut bhalī hai
ghuTan se dam TūTne lagā to havā chalī hai bahut bhalī hai
maiñ apnī fāqa-zada sī ummīd par na kyoñ apnī jaan vārūñ
ki in dukhoñ meñ aur aise hāloñ bhī ye palī hai bahut bhalī hai
aTak rahā thā añdherā sāñsoñ meñ ḳhauf ḳhuuñ meñ gilā huā thā
ai sub.h-e-kāzib jo chhoḌ kar zinda shab Talī hai bahut bhalī hai
maiñ phir tirī ḳhair apne kaase meñ Daal luuñ ye nahīñ gavāra
ki tere dar se uThī to jo zindagī milī hai bahut bhalī hai
ye dil hai merā so is kī gunjāniyat ke haiñ muḳhtasar kavā.if
tamām bastī tirā hī ghar hai tirī galī hai bahut bhalī hai
maiñ chāñd ke paas jā ke dekhūñgī āsmāñ se pare kā manzar
rahe tajassus falak pe khiḌkī jo ye khulī hai bahut bhalī hai
ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai
ghuTan se dam TuTne laga to hawa chali hai bahut bhali hai
main apni faqa-zada si ummid par na kyon apni jaan warun
ki in dukhon mein aur aise haalon bhi ye pali hai bahut bhali hai
aTak raha tha andhera sanson mein KHauf KHun mein gila hua tha
ai subh-e-kazib jo chhoD kar zinda shab Tali hai bahut bhali hai
main phir teri KHair apne kase mein Dal lun ye nahin gawara
ki tere dar se uThi to jo zindagi mili hai bahut bhali hai
ye dil hai mera so is ki gunjaaniyat ke hain muKHtasar kawaif
tamam basti tera hi ghar hai teri gali hai bahut bhali hai
main chand ke pas ja ke dekhungi aasman se pare ka manzar
rahe tajassus falak pe khiDki jo ye khuli hai bahut bhali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.