ghanghor ghaTa ke aanchal ko jab kali raat nichoD gai
ghanghor ghaTā ke āñchal ko jab kaalī raat nichoḌ ga.ī
ik tanhā.ī ko chain milā ik tanhā.ī dam toḌ ga.ī
ai vaqt ke andhe rakhvālo ye raaz to ham bhī jānte haiñ
be-vaj.h tumhārī āñkhoñ se kyuuñ bīnā.ī muñh moḌ ga.ī
ik vo bhī safīna thā apnā jo sāhil sāhil ghuum gayā
ik ye bhī hamārī kashtī hai jo lahroñ meñ sar phoḌ ga.ī
har chand nazar ne tāroñ par shab-ḳhūn to maarā hai lekin
ye raat sahar ke dāman par kuchh daaġh lahū ke chhoḌ ga.ī
insān kā raushan mustaqbil jis vaqt charāġh-e-rāh banā
har manzil apne qadmoñ se tārīḳh kā naata joḌ ga.ī
ghanghor ghaTa ke aanchal ko jab kali raat nichoD gai
ek tanhai ko chain mila ek tanhai dam toD gai
ai waqt ke andhe rakhwalo ye raaz to hum bhi jaante hain
be-wajh tumhaari aankhon se kyun binai munh moD gai
ek wo bhi safina tha apna jo sahil sahil ghum gaya
ek ye bhi hamari kashti hai jo lahron mein sar phoD gai
har chand nazar ne taron par shab-KHun to mara hai lekin
ye raat sahar ke daman par kuchh dagh lahu ke chhoD gai
insan ka raushan mustaqbil jis waqt charagh-e-rah bana
har manzil apne qadmon se tariKH ka nata joD gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.