Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghani aabaadiyon ki be-amani ka tamasha kar

Arman Najmi

ghani aabaadiyon ki be-amani ka tamasha kar

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    ghanī ābādiyoñ be-amānī tamāshā kar

    nikal kar ghar se marg-e-nā-gahānī tamāshā kar

    jo zinda aag meñ Daale ga.e lāsheñ na gin un

    jo bach nikle haiñ un saḳht-jānī tamāshā kar

    jo taḳht-o-tāj ke mālik haiñ kyā vo mo'tabar bhī haiñ

    shar-añgezī meñ Duubī hukmarānī tamāshā kar

    bachā kyā rah gayā kālak bhare jhulse makānoñ meñ

    ujāḌī bastiyoñ be-nishānī tamāshā kar

    na.ī tārīḳh ke safhoñ pe likkhā rahā hai kyā

    hurūf-e-qahr ātish-fishānī tamāshā kar

    jo dil meñ hai use nā-gufta rahne de to behtar hai

    badaltī sūrat-e-harf-o-ma.ānī tamāshā kar

    na koī ḳhvāb baaqī hai na aañsū ḳhushk āñkhoñ meñ

    tahī-dastoñ gum-sum nauha-ḳhvānī tamāshā kar

    har ik shab shukr kar terī abhī gardan salāmat hai

    har ik din sail-e-ḳhūñ be-karānī tamāshā kar

    qayāmat sar tak aa pahuñchī hai rakh le haath āñkhoñ par

    matā-e-zindagī rā.egānī tamāshā kar

    ghani aabaadiyon ki be-amani ka tamasha kar

    nikal kar ghar se marg-e-na-gahani ka tamasha kar

    jo zinda aag mein Dale gae lashen na gin un ki

    jo bach nikle hain un ki saKHt-jaani ka tamasha kar

    jo taKHt-o-taj ke malik hain kya wo mo'tabar bhi hain

    shar-angezi mein Dubi hukmarani ka tamasha kar

    bacha kya rah gaya kalak bhare jhulse makanon mein

    ujaDi bastiyon ki be-nishani ka tamasha kar

    nai tariKH ke safhon pe likkha ja raha hai kya

    huruf-e-qahr ki aatish-fishani ka tamasha kar

    jo dil mein hai use na-gufta rahne de to behtar hai

    badalti surat-e-harf-o-maani ka tamasha kar

    na koi KHwab baqi hai na aansu KHushk aankhon mein

    tahi-daston ki gum-sum nauha-KHwani ka tamasha kar

    har ek shab shukr kar teri abhi gardan salamat hai

    har ek din sail-e-KHun ki be-karani ka tamasha kar

    qayamat sar tak aa pahunchi hai rakh le hath aankhon par

    mata-e-zindagi ki raegani ka tamasha kar

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 315)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now