ghani-ghaneri raat mein Darne wala main
ghani-ghaneri raat mein Darne wala main
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
ghanī-ghanerī raat meñ Darne vaalā maiñ
sannāTe kī tarah bikharne vaalā maiñ
jaane kaun us paar bulātā hai mujh ko
chaḌhī nadī ke biich utarne vaalā maiñ
rusvā.ī to rusvā.ī manzūr mujhe
Dare Dare se paañv na dharne vaalā maiñ
mire liye kyā chiiz hai tujh se baḌh kar yaar
saath hī jiine saath hī marne vaalā maiñ
sab kuchh kah ke toḌ liyā hai naata kyā
maiñ kyā bolūñ baat na karne vaalā maiñ
tarah tarah ke varaq banāne vaalā tū
tirī ḳhushī ke rañg hī bharne vaalā maiñ
dā.im, abadī, vaqt guzarne vaalā tū
manzar, sāya, dekh Thaharne vaalā maiñ
ghani-ghaneri raat mein Darne wala main
sannaTe ki tarah bikharne wala main
jaane kaun us par bulata hai mujh ko
chaDhi nadi ke bich utarne wala main
ruswai to ruswai manzur mujhe
Dare Dare se panw na dharne wala main
mere liye kya chiz hai tujh se baDh kar yar
sath hi jine sath hi marne wala main
sab kuchh kah ke toD liya hai nata kya
main kya bolun baat na karne wala main
tarah tarah ke waraq banane wala tu
teri KHushi ke rang hi bharne wala main
daim, abadi, waqt guzarne wala tu
manzar, saya, dekh Thaharne wala main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.