ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre
ghar basā kar bhī musāfir ke musāfir Thahre
log darvāzoñ se nikle ki muhājir Thahre
dil ke madfan pe nahīñ koī bhī rone vaalā
apnī dargāh ke ham ḳhud hī mujāvir Thahre
is bayābāñ kī nigāhoñ meñ muravvat na rahī
kaun jaane ki koī shart-e-safar phir Thahre
pattiyāñ TuuT ke patthar kī tarah lagtī haiñ
un daraḳhtoñ ke tale kaun musāfir Thahre
ḳhushk patte kī tarah jism uḌā jaatā hai
kyā paḌī hai jo ye āñdhī mirī ḳhātir Thahre
shāḳh-e-gul chhoḌ ke dīvār pe aa baiThe haiñ
vo parinde jo añdheroñ ke musāfir Thahre
apnī barbādī kī tasvīr utārūñ kaise
chand lamhoñ ke liye bhī na manāzir Thahre
tishnagī kab ke gunāhoñ kī sazā hai 'qaisar'
vo kuaañ suukh gayā jis pe musāfir Thahre
ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre
log darwazon se nikle ki muhajir Thahre
dil ke madfan pe nahin koi bhi rone wala
apni dargah ke hum KHud hi mujawir Thahre
is bayaban ki nigahon mein murawwat na rahi
kaun jaane ki koi shart-e-safar phir Thahre
pattiyan TuT ke patthar ki tarah lagti hain
un daraKHton ke tale kaun musafir Thahre
KHushk patte ki tarah jism uDa jata hai
kya paDi hai jo ye aandhi meri KHatir Thahre
shaKH-e-gul chhoD ke diwar pe aa baiThe hain
wo parinde jo andheron ke musafir Thahre
apni barbaadi ki taswir utarun kaise
chand lamhon ke liye bhi na manazir Thahre
tishnagi kab ke gunahon ki saza hai 'qaisar'
wo kuan sukh gaya jis pe musafir Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.