ghar ghair ke jo yar mera raat se gaya
ghar ġhair ke jo yaar mirā raat se gayā
jī siine se nikal gayā dil haat se gayā
maiñ jaan se gayā tirī ḳhātir va-lek haif
tū mujh se zāhirī bhī mudārāt se gayā
yā saal o maah thā tū mire saath yā to ab
barsoñ meñ ek din kī mulāqāt se gayā
dekhā jo baat karte tujhe raat ġhair se
dil merā haath setī isī baat se gayā
us rashk-e-mah kī bazm meñ jaate hī 'āftāb'
dil sā rafīq merā mire saat se gayā
ghar ghair ke jo yar mera raat se gaya
ji sine se nikal gaya dil hat se gaya
main jaan se gaya teri KHatir wa-lek haif
tu mujh se zahiri bhi mudaraat se gaya
ya sal o mah tha tu mere sath ya to ab
barson mein ek din ki mulaqat se gaya
dekha jo baat karte tujhe raat ghair se
dil mera hath seti isi baat se gaya
us rashk-e-mah ki bazm mein jate hi 'aftab'
dil sa rafiq mera mere sat se gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.