ghar ki chizon se yun aashna kaun hai
ghar kī chīzoñ se yuuñ āshnā kaun hai
is ḳharābe meñ aayā gayā kaun hai
sub.h kī shoḳh kirnoñ ko kyā hai ḳhabar
raat bhar os meñ bhīgtā kaun hai
phuul āñkhoñ ke chup se uThā lījiye
pīchhe muḌ ke yahāñ dekhtā kaun hai
dhuul oḌhe sahīfe batā.eñ bhī kyā
raat bhar tāq-e-dil meñ jalā kaun hai
sāmne jhiil hai jhiil meñ āsmāñ
āsmāñ meñ ye uḌtā huā kaun hai
pūchhne kyā lage ruk ke dīvār se
shahr meñ sach to ye hai khaḌā kaun hai
aaj sochā hai jāgūñgā maiñ raat meñ
kachche phal sā mujhe toḌtā kaun hai
ghar ki chizon se yun aashna kaun hai
is KHarabe mein aaya gaya kaun hai
subh ki shoKH kirnon ko kya hai KHabar
raat bhar os mein bhigta kaun hai
phul aankhon ke chup se uTha lijiye
pichhe muD ke yahan dekhta kaun hai
dhul oDhe sahife bataen bhi kya
raat bhar taq-e-dil mein jala kaun hai
samne jhil hai jhil mein aasman
aasman mein ye uDta hua kaun hai
puchhne kya lage ruk ke diwar se
shahr mein sach to ye hai khaDa kaun hai
aaj socha hai jagunga main raat mein
kachche phal sa mujhe toDta kaun hai
- Book : Shahr Aainda (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.