ghar ki had mein sahra hai
ghar kī had meñ sahrā hai
aage dariyā bahtā hai
hairat tak mafqūd huī
itnā dekhā-bhālā hai
jaane kyā uftād paḌe
ḳhvāb meñ us ko dekhā hai
aahaT kaisī bastī meñ
kaun ye rasta bhūlā hai
raste apne apne haiñ
kaun kisī ko samjhā hai
qaid se vahshī chhūT ga.e
dekheñ kyā gul khiltā hai
uḌne vaalā panchhī kyuuñ
pañkh sameTe baiThā hai
ghar ki had mein sahra hai
aage dariya bahta hai
hairat tak mafqud hui
itna dekha-bhaala hai
jaane kya uftad paDe
KHwab mein us ko dekha hai
aahaT kaisi basti mein
kaun ye rasta bhula hai
raste apne apne hain
kaun kisi ko samjha hai
qaid se wahshi chhuT gae
dekhen kya gul khilta hai
uDne wala panchhi kyun
pankh sameTe baiTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.