ghar ki mushkil koi hal chahti hai
ghar kī mushkil koī hal chāhtī hai
mujh se vo tāj-mahal chāhtī hai
kaisī nādān hai duniyā kī talab
biij boyā nahīñ phal chāhtī hai
intizār āshnā āñkhoñ kī jalan
terī āñkhoñ ke kañval chāhtī hai
fikr hai sub.h kī dushman kaisī
raat kī raat ġhazal chāhtī hai
baiTh jā sāmne ik naaz ke saath
tū musavvir kā amal chāhtī hai
jis meñ har chehre ke TukḌe ho jaa.eñ
aañkh vo shīsh-mahal chāhtī hai
ghar ki mushkil koi hal chahti hai
mujh se wo taj-mahal chahti hai
kaisi nadan hai duniya ki talab
bij boya nahin phal chahti hai
intizar aashna aankhon ki jalan
teri aankhon ke kanwal chahti hai
fikr hai subh ki dushman kaisi
raat ki raat ghazal chahti hai
baiTh ja samne ek naz ke sath
tu musawwir ka amal chahti hai
jis mein har chehre ke TukDe ho jaen
aankh wo shish-mahal chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.