ghar mein chandi ke koi sone ke dar rakh jaega
ghar meñ chāñdī ke koī sone ke dar rakh jā.egā
vo mire chashme meñ jab apnī nazar rakh jā.egā
qaid kar le jā.egā nīñdoñ kī saarī kā.enāt
haañ magar palkoñ pe kuchh sachche guhar rakh jā.egā
saare dukh so jā.eñge lekin ik aisā ġham bhī hai
jo mire bistar pe sadiyoñ kā safar rakh jā.egā
jagmagāte jāgte rishtoñ ke sar kaT jā.eñge
jab koī ehsās ke piñjre meñ Dar rakh jā.egā
terī fankārī kā duniyā ḳhud karegī e'tirāf
sañg-rezoñ par tū jab shīshe ke ghar rakh jā.egā
ghar mein chandi ke koi sone ke dar rakh jaega
wo mere chashme mein jab apni nazar rakh jaega
qaid kar le jaega nindon ki sari kaenat
han magar palkon pe kuchh sachche guhar rakh jaega
sare dukh so jaenge lekin ek aisa gham bhi hai
jo mere bistar pe sadiyon ka safar rakh jaega
jagmagate jagte rishton ke sar kaT jaenge
jab koi ehsas ke pinjre mein Dar rakh jaega
teri fankari ka duniya KHud karegi e'tiraf
sang-rezon par tu jab shishe ke ghar rakh jaega
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 97)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.