ghar mein miTTi ka diya maujud hai
ghar meñ miTTī kā diyā maujūd hai
raushnī se rābta maujūd hai
chāhiye bīnā.ī sunñe ke liye
ba.az rañgoñ meñ sadā maujūd hai
kab se uḌtā hai ġhubāra arz kā
is meñ ab kitnī havā maujūd hai
go bahut mahdūd hai jins-e-vafā
phir bhī mere bevafā! maujūd hai
umr bhar jañgal meñ rah saktā huuñ maiñ
is meñ ghar jaisī fazā maujūd hai
zikr-e-gumrāhī kahāñ se aa gayā
rāsta hī kaun sā maujūd hai
nā-ḳhudā be-ḳhauf ab lañgar uThā
naav meñ ik bā-ḳhudā maujūd hai
ghar mein miTTi ka diya maujud hai
raushni se rabta maujud hai
chahiye binai sunne ke liye
baz rangon mein sada maujud hai
kab se uDta hai ghubara arz ka
is mein ab kitni hawa maujud hai
go bahut mahdud hai jins-e-wafa
phir bhi mere bewafa! maujud hai
umr bhar jangal mein rah sakta hun main
is mein ghar jaisi faza maujud hai
zikr-e-gumrahi kahan se aa gaya
rasta hi kaun sa maujud hai
na-KHuda be-KHauf ab langar uTha
naw mein ek ba-KHuda maujud hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 356)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.