ghar mein saqi-e-mast ke chal ke
ghar meñ sāqī-e-mast ke chal ke
aaj sāġhar sharāb kā chhalke
sog meñ mere mehñdī ke badle
laal karte haiñ haath mal mal ke
chhoḌiye ab tavāf ka.aba kā
dair kī gard DhūñDhiye chal ke
dil hai patthar sā un kā bhārī hai
varna haiñ kaan ke bahut halke
talvā khujlā rahā hai phir merā
yaad karte haiñ ḳhaar jañgal ke
aaj murda 'saḳhī' kā ro.egā
is janāze ko dekhnā chal ke
ghar mein saqi-e-mast ke chal ke
aaj saghar sharab ka chhalke
sog mein mere mehndi ke badle
lal karte hain hath mal mal ke
chhoDiye ab tawaf kaba ka
dair ki gard DhunDhiye chal ke
dil hai patthar sa un ka bhaari hai
warna hain kan ke bahut halke
talwa khujla raha hai phir mera
yaad karte hain KHar jangal ke
aaj murda 'saKHi' ka roega
is janaze ko dekhna chal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.