ghar na dar kuchh nahin raha mahfuz
ghar na dar kuchh nahīñ rahā mahfūz
hai ġhanīmat ki sar rahā mahfūz
luT gayā dil to kyā rahā mahfūz
un kā ġham merā hausla mahfūz
rahnumāoñ kī ham ko hājat kyā
ham ne rakhā hai hausla mahfūz
ishq-e-paiham se chashm-e-pur-nam se
koī duniyā meñ kab rahā mahfūz
ham ko munkir na tū samajh vaa.iz
dil meñ har samt hai ḳhudā mahfūz
aap par miT ke ham rahe gumnām
aap kī har adā adā mahfūz
baar baar un ke dar pe jaane se
fāsloñ ne hameñ rakhā mahfūz
ab kī kaisī chalī ye bād-e-sumūm
jaan mahfūz na ridā mahfūz
aaj ik jām-e-ḳhās mere naam
mere saaqī ne rakh liyā mahfūz
TuuT kar ham bikhar ga.e hote
jo na rakhte ye hausla mahfūz
har hazīmat ke ba.ad 'farzāna'
dil bechārā kahāñ rahā mahfūz
ghar na dar kuchh nahin raha mahfuz
hai ghanimat ki sar raha mahfuz
luT gaya dil to kya raha mahfuz
un ka gham mera hausla mahfuz
rahnumaon ki hum ko hajat kya
hum ne rakha hai hausla mahfuz
ishq-e-paiham se chashm-e-pur-nam se
koi duniya mein kab raha mahfuz
hum ko munkir na tu samajh waiz
dil mein har samt hai KHuda mahfuz
aap par miT ke hum rahe gumnam
aap ki har ada ada mahfuz
bar bar un ke dar pe jaane se
faslon ne hamein rakha mahfuz
ab ki kaisi chali ye baad-e-sumum
jaan mahfuz na rida mahfuz
aaj ek jam-e-KHas mere nam
mere saqi ne rakh liya mahfuz
TuT kar hum bikhar gae hote
jo na rakhte ye hausla mahfuz
har hazimat ke baad 'farzana'
dil bechaara kahan raha mahfuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.