ghar ne apna hosh sambhaala din nikla
ghar ne apnā hosh sambhālā din niklā
khiḌkī meñ bhar gayā ujālā din niklā
laal gulābī huā ufuq kā darvāza
TuuT gayā sūraj kā taalā din niklā
peḌoñ pe chup rahne vaalī raag ga.ī
shāḳh shāḳh pe bolne vaalā din niklā
na.e na.e manzar āñkhoñ meñ phail ga.e
khulā koī rañgīn risālā din niklā
āñkheñ kholo ḳhvāb sameTo jaago bhī
'alvī' piyāre dekho saalā din niklā
ghar ne apna hosh sambhaala din nikla
khiDki mein bhar gaya ujala din nikla
lal gulabi hua ufuq ka darwaza
TuT gaya suraj ka tala din nikla
peDon pe chup rahne wali rag gai
shaKH shaKH pe bolne wala din nikla
nae nae manzar aankhon mein phail gae
khula koi rangin risala din nikla
aankhen kholo KHwab sameTo jago bhi
'alwi' piyare dekho sala din nikla
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 108)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.