ghar se main jab bhi akela nikla
ghar se maiñ jab bhī akelā niklā
mujh se pahle mirā saaya niklā
phaaḌ kar dāman-e-sahrā niklā
mere andar se jo dariyā niklā
ik tabassum jo milā thā mujh ko
vo bhī ik zaḳhm-e-tamannā niklā
jis pe kal sañg-e-malāmat barse
aaj vo daar pe iisā niklā
aa.ina dekhā jo uryāñ ho kar
jism hī jism kā pardā niklā
jis ne ye bhiiḌ lagā rakkhī thī
ḳhud vo us bhiiḌ meñ tanhā niklā
chehra ījād hai ā.īne kī
aa.ina niklā to chehra niklā
aaj ik ḳhat ko jo kholā 'qaisar'
us meñ sūraj kā sarāpā niklā
ghar se main jab bhi akela nikla
mujh se pahle mera saya nikla
phaD kar daman-e-sahra nikla
mere andar se jo dariya nikla
ek tabassum jo mila tha mujh ko
wo bhi ek zaKHm-e-tamanna nikla
jis pe kal sang-e-malamat barse
aaj wo dar pe isa nikla
aaina dekha jo uryan ho kar
jism hi jism ka parda nikla
jis ne ye bhiD laga rakkhi thi
KHud wo us bhiD mein tanha nikla
chehra ijad hai aaine ki
aaina nikla to chehra nikla
aaj ek KHat ko jo khola 'qaisar'
us mein suraj ka sarapa nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.