ghar se mera rishta bhi kitna raha
ghar se merā rishta bhī kitnā rahā
umr bhar ik kone meñ baiThā rahā
apne hoñToñ par zabāñ ko pher kar
āñsuoñ ke zā.iqe chakhtā rahā
vo bhī mujh ko dekh kar jiitā thā aur
maiñ bhī us kī aañkh meñ zinda rahā
nisbateñ thiiñ ret se kuchh is qadar
bādaloñ ke shahr meñ pyāsā rahā
shahr meñ sailāb kā thā shor kal
aur maiñ tah-ḳhāne meñ soyā rahā
khā rahī thī aag jab kamra 'hasan'
maiñ bas ik tasvīr se chimTā rahā
ghar se mera rishta bhi kitna raha
umr bhar ek kone mein baiTha raha
apne honTon par zaban ko pher kar
aansuon ke zaiqe chakhta raha
wo bhi mujh ko dekh kar jita tha aur
main bhi us ki aankh mein zinda raha
nisbaten thin ret se kuchh is qadar
baadalon ke shahr mein pyasa raha
shahr mein sailab ka tha shor kal
aur main tah-KHane mein soya raha
kha rahi thi aag jab kamra 'hasan'
main bas ek taswir se chimTa raha
- Book : Ham Ne Bhi Mohabbat Ki Hai (Pg. 27)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.