ghar se nikle to ho socha bhi kidhar jaoge
ghar se nikle to ho sochā bhī kidhar jāoge
har taraf tez havā.eñ haiñ bikhar jāoge
itnā āsāñ nahīñ lafzoñ pe bharosā karnā
ghar kī dahlīz pukāregī jidhar jāoge
shaam hote hī simaT jā.eñge saare raste
bahte dariyā se jahāñ hoge Thahar jāoge
har na.e shahr meñ kuchh rāteñ kaḌī hotī haiñ
chhat se dīvāreñ judā hoñgī to Dar jāoge
pahle har chiiz nazar aa.egī be-ma.anī sī
aur phir apnī hī nazroñ se utar jāoge
ghar se nikle to ho socha bhi kidhar jaoge
har taraf tez hawaen hain bikhar jaoge
itna aasan nahin lafzon pe bharosa karna
ghar ki dahliz pukaregi jidhar jaoge
sham hote hi simaT jaenge sare raste
bahte dariya se jahan hoge Thahar jaoge
har nae shahr mein kuchh raaten kaDi hoti hain
chhat se diwaren juda hongi to Dar jaoge
pahle har chiz nazar aaegi be-mani si
aur phir apni hi nazron se utar jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.