ghar se nikli kaha saheli ka
ghar se niklī kahā sahelī kā
phuul hamrāh thā chañbelī kā
bālā-ḳhāne se chīḳh uThtī thī
aur dar band thā havelī kā
vaqt farmāñ-ravā-e-dillī hai
aur maiñ baḳht huuñ barelī kā
us ne dast-e-talab darāz kiyā
chhed zāhir huā hathelī kā
vaqt kolhū hai aur ham sab bail
munfarid hai nizām telī kā
ghar se nikli kaha saheli ka
phul hamrah tha chanbeli ka
baala-KHane se chiKH uThti thi
aur dar band tha haweli ka
waqt farman-rawa-e-dilli hai
aur main baKHt hun bareli ka
us ne dast-e-talab daraaz kiya
chhed zahir hua hatheli ka
waqt kolhu hai aur hum sab bail
munfarid hai nizam teli ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.