ghaTa jab raqs karti hai to unki yaad aati hai
ghaTa jab raqs karti hai to unki yaad aati hai
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
MORE BYAshhad Bilal Ibn-e-chaman
ghaTā jab raqs kartī hai to un kī yaad aatī hai
kabhī jab meñh barastī hai to un kī yaad aatī hai
koī nāzuk-badan miltā hai jab az-rāh-e-begāna
tabī.at bhiig jaatī hai to un kī yaad aatī hai
havā jab le ke aatī hai gulābī ajnabī ḳhushbū
kalī sī dil meñ khiltī hai to un kī yaad aatī hai
saverā le ke aatā hai mire ḳhvāboñ kī ta.abīreñ
magar jab shaam hotī hai to un kī yaad aatī hai
ghaTa jab raqs karti hai to un ki yaad aati hai
kabhi jab meinh barasti hai to un ki yaad aati hai
koi nazuk-badan milta hai jab az-rah-e-begana
tabiat bhig jati hai to un ki yaad aati hai
hawa jab le ke aati hai gulabi ajnabi KHushbu
kali si dil mein khilti hai to un ki yaad aati hai
sawera le ke aata hai mere KHwabon ki tabiren
magar jab sham hoti hai to un ki yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.