ghaTaon se jab bhi mulaqat hogi
ghaTāoñ se jab bhī mulāqāt hogī
samundar ke dukh-dard kī baat hogī
batā ai falak kab sulagtī zamīñ par
ghaTāoñ kī chashm-e-ināyāt hogī
sukūn-e-jigar tum kisī se na māñgo
ye daulat milī bhī to ḳhairāt hogī
agar zaḳhm-e-dil par lagāoge marham
na garjegā bādal na barsāt hogī
ḳhabar kyā thī miT jā.egī ādamiyyat
kahīñ nasl hogī kahīñ zaat hogī
sitāroñ se ye kaam mumkin nahīñ hai
charāġhoñ se tūfān kī maat hogī
sabhī bādaloñ ke ḳhazāne haiñ ḳhālī
'qamar' kaise is saal barsāt hogī
ghaTaon se jab bhi mulaqat hogi
samundar ke dukh-dard ki baat hogi
bata ai falak kab sulagti zamin par
ghaTaon ki chashm-e-inayat hogi
sukun-e-jigar tum kisi se na mango
ye daulat mili bhi to KHairaat hogi
agar zaKHm-e-dil par lagaoge marham
na garjega baadal na barsat hogi
KHabar kya thi miT jaegi aadamiyyat
kahin nasl hogi kahin zat hogi
sitaron se ye kaam mumkin nahin hai
charaghon se tufan ki mat hogi
sabhi baadalon ke KHazane hain KHali
'qamar' kaise is sal barsat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.