ghaTne wale the jab azab mere
ghaTne vaale the jab azaab mire
aa ga.e yaad mujh ko ḳhvāb mire
ek pahlū meñ so rahe haiñ vo
ek pahlū meñ hai kitāb mire
naap leñge ab aur kitnī baar
kapḌe sī dījiye janāb mire
ishq agar rā.egāñ huā to kyā
aaj bachche haiñ kāmyāb mire
vaise bhī option nahīñ thā koī
ban ga.e tum hī intiḳhāb mire
mire gāloñ tak aa gayā hai vo
chūmte chūmte gulāb mire
ghaTne wale the jab azab mere
aa gae yaad mujh ko KHwab mere
ek pahlu mein so rahe hain wo
ek pahlu mein hai kitab mere
nap lenge ab aur kitni bar
kapDe si dijiye janab mere
ishq agar raegan hua to kya
aaj bachche hain kaamyab mere
waise bhi option nahin tha koi
ban gae tum hi intiKHab mere
mere galon tak aa gaya hai wo
chumte chumte gulab mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.