Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai

Agha Hajju Sharaf

ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    ghiste ghiste paañv meñ zanjīr aadhī rah ga.ī

    aadhī chhuTne huī tadbīr aadhī rah ga.ī

    niim bismil ho ke maiñ taḌpā to vo kahne lage

    chuuk tujh se ho ga.ī ta.azīr aadhī rah ga.ī

    shaam se thī aamad aamad nisf shab ko aa.e vo

    yāvarī kar ke mirī taqdīr aadhī rah ga.ī

    nisf shahr us gesu-e-mushkīñ ne dil-basta kiyā

    ḳhusrav-e-tātār tauqīr aadhī rah ga.ī

    chaudhvīñ shab nā-mubārak māh-e-kāmil ko huī

    nisf mansab ho gayā jāgīr aadhī rah ga.ī

    tez kab tak hogī kab tak baaḌh rakkhī jā.egī

    ab to ai qātil tirī shamshīr aadhī rah ga.ī

    aadhe dhaḌ dam nikaltā thā ki aayā ḳhatt-e-shauq

    paḌhte paḌhte mar ga.e tahrīr aadhī rah ga.ī

    rañg phirne bhī na paayā thā ki ḳhud-rafta huā

    ban ke 'mānī' se tirī tasvīr aadhī rah ga.ī

    nisf shab tak tasallī phir vo yūsuf uTh gayā

    ḳhvāb-e-hasrat mirī ta.abīr aadhī rah ga.ī

    ḳhud kahā qātil se maiñ ne phir dobāra zab.h kar

    kaT ke jab gardan dam-e-takbīr aadhī rah ga.ī

    dopahar raat aa chukī jab guftugū ishq

    yaar se aadhī huī taqrīr aadhī rah ga.ī

    imtihān meñ kundanī rañg un duunā ho gayā

    uḌte uḌte surḳhī-e-iksīr aadhī rah ga.ī

    ai parī-rū jald zindāñ meñ 'sharaf' le ḳhabar

    TukḌe kar ke pheñk zanjīr aadhī rah ga.ī

    ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai

    aadhi chhuTne ki hui tadbir aadhi rah gai

    nim bismil ho ke main taDpa to wo kahne lage

    chuk tujh se ho gai tazir aadhi rah gai

    sham se thi aamad aamad nisf shab ko aae wo

    yawari kar ke meri taqdir aadhi rah gai

    nisf shahr us gesu-e-mushkin ne dil-basta kiya

    KHusraw-e-tatar ki tauqir aadhi rah gai

    chaudhwin shab na-mubarak mah-e-kaamil ko hui

    nisf mansab ho gaya jagir aadhi rah gai

    tez kab tak hogi kab tak baDh rakkhi jaegi

    ab to ai qatil teri shamshir aadhi rah gai

    aadhe dhaD ka dam nikalta tha ki aaya KHatt-e-shauq

    paDhte paDhte mar gae tahrir aadhi rah gai

    rang phirne bhi na paya tha ki KHud-rafta hua

    ban ke 'mani' se teri taswir aadhi rah gai

    nisf shab tak di tasalli phir wo yusuf uTh gaya

    KHwab-e-hasrat ki meri tabir aadhi rah gai

    KHud kaha qatil se main ne phir dobara zabh kar

    kaT ke jab gardan dam-e-takbir aadhi rah gai

    dopahar raat aa chuki jab guftugu ki ishq ki

    yar se aadhi hui taqrir aadhi rah gai

    imtihan mein kundani rang un ka duna ho gaya

    uDte uDte surKHi-e-iksir aadhi rah gai

    ai pari-ru jald zindan mein 'sharaf' ki le KHabar

    TukDe kar ke phenk di zanjir aadhi rah gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now