ghup andhera hai kya qayamat hai
ghup añdherā hai kyā qayāmat hai
ik tabassum kī phir zarūrat hai
sar ko siine pe rakh ke sun liije
aap se dil ko kuchh shikāyat hai
nāsehoñ se hai mai-kashī kā faroġh
shauq parvarda-e-malāmat hai
dil kī dhaḌkan jo hai madār-e-hayāt
ik zarā tez ho to aafat hai
aag paanī se bhaap uThtī rahī
ham samajhte rahe mohabbat hai
dahr meñ ham kamāl-e-san.at haiñ
aur baaqī fareb-e-san.at hai
abhī jiine kā hukm hai 'rizvī'
aur kyā jaane kyā musībat hai
ghup andhera hai kya qayamat hai
ek tabassum ki phir zarurat hai
sar ko sine pe rakh ke sun lije
aap se dil ko kuchh shikayat hai
nasehon se hai mai-kashi ka farogh
shauq parwarda-e-malamat hai
dil ki dhaDkan jo hai madar-e-hayat
ek zara tez ho to aafat hai
aag pani se bhap uThti rahi
hum samajhte rahe mohabbat hai
dahr mein hum kamal-e-sanat hain
aur baqi fareb-e-sanat hai
abhi jine ka hukm hai 'rizwi'
aur kya jaane kya musibat hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 359)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.