ghup andhera tha ja-ba-ja mujh mein
ghup añdherā thā jā-ba-jā mujh meñ
raat rahtī thī bā-ḳhudā mujh meñ
maiñ to sar ko jhukā.e baiThā thā
ishq ne sar uThā liyā mujh meñ
ġham yahāñ se nikal nahīñ paayā
chaar jānib thā hāshiya mujh meñ
merā hī ruup dhaar kar koī
der tak chīḳhtā rahā mujh meñ
jaane kis kis ne raat kaaTī yahāñ
jaane kis kis ko tū milā mujh meñ
chhat girā.ī to rāsta niklā
phir tamāshā sā lag gayā mujh meñ
merī tah tak pahuñch nahīñ paayā
ek patthar jo gir paḌā mujh meñ
terī āvāz gūñjtī thī kabhī
ab to rahtā hai bas ḳhalā mujh meñ
saare manzar chhupā diye us ne
vo jo terā ġhubār thā mujh meñ
phal hī phal the yahāñ vahāñ 'mohsin'
ik shajar thā jhukā huā mujh meñ
ghup andhera tha ja-ba-ja mujh mein
raat rahti thi ba-KHuda mujh mein
main to sar ko jhukae baiTha tha
ishq ne sar uTha liya mujh mein
gham yahan se nikal nahin paya
chaar jaanib tha hashiya mujh mein
mera hi rup dhaar kar koi
der tak chiKHta raha mujh mein
jaane kis kis ne raat kaTi yahan
jaane kis kis ko tu mila mujh mein
chhat girai to rasta nikla
phir tamasha sa lag gaya mujh mein
meri tah tak pahunch nahin paya
ek patthar jo gir paDa mujh mein
teri aawaz gunjti thi kabhi
ab to rahta hai bas KHala mujh mein
sare manzar chhupa diye us ne
wo jo tera ghubar tha mujh mein
phal hi phal the yahan wahan 'mohsin'
ek shajar tha jhuka hua mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.