ghup andheron ki bad-gumani dekh
ghup añdheroñ kī bad-gumānī dekh
shab kī chaḌhtī huī javānī dekh
dasht kahtā hai pahle raqs karo
pyaas kahtī hai pahle paanī dekh
qalb-e-nāshād kī kivāḌoñ par
zaḳhm pinhā kī pāsbānī dekh
ek kirdār maar kar maiñ ne
moḌ dī kis tarah kahānī dekh
paḌ ga.e haiñ nujūmī hairat meñ
aap kā husn-e-kahkashānī dekh
ghup andheron ki bad-gumani dekh
shab ki chaDhti hui jawani dekh
dasht kahta hai pahle raqs karo
pyas kahti hai pahle pani dekh
qalb-e-nashad ki kiwaDon par
zaKHm pinha ki pasbani dekh
ek kirdar mar kar main ne
moD di kis tarah kahani dekh
paD gae hain nujumi hairat mein
aap ka husn-e-kahkashani dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.