ghuTan bhi dekh rahi hai mujhe hairani se
ghuTan bhī dekh rahī hai mujhe hairānī se
kahīñ maiñ uub hī jā.ūñ na us javānī se
sazā-e-maut nahīñ umr-qaid kāTo.ge
ye hukm aa hī gayā dil kī rājdhānī se
zarā sā ishq kiyā aur ab ye hālat hai
vo bah rahā hai ragoñ meñ ajab ravānī se
udāsiyoñ meñ bhī shikvā bhalā kareñ kis se
bachā hai kaun mohabbat meñ rā.egānī se
kabhī kabhī to mujhe ḳhud pe hañsī aatī hai
mujhe ye ishq huā bhī to ik divānī se
maiñ koshishoñ meñ huuñ ik jism ko banāne kī
havā se aag se miTTī se aur paanī se
udaas ho chukā kirdār chīḳh kar bolā
mujhe nikāl do ab is dukhī kahānī se
ghuTan bhi dekh rahi hai mujhe hairani se
kahin main ub hi jaun na us jawani se
saza-e-maut nahin umr-qaid kaToge
ye hukm aa hi gaya dil ki rajdhani se
zara sa ishq kiya aur ab ye haalat hai
wo bah raha hai ragon mein ajab rawani se
udasiyon mein bhi shikwa bhala karen kis se
bacha hai kaun mohabbat mein raegani se
kabhi kabhi to mujhe KHud pe hansi aati hai
mujhe ye ishq hua bhi to ek diwani se
main koshishon mein hun ek jism ko banane ki
hawa se aag se miTTi se aur pani se
udas ho chuka kirdar chiKH kar bola
mujhe nikal do ab is dukhi kahani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.