ghum rahe hain aangan aangan chand hawa aur main
ghuum rahe haiñ āñgan āñgan chāñd havā aur maiñ
DhūñD rahe haiñ bichhḌā bachpan chāñd havā aur maiñ
bhūlā-bisrā afsāna haiñ aaj us ke nazdīk
kal tak the jis dil kī dhaḌkan chāñd havā aur maiñ
ḳhvāboñ se be-nām jazīroñ meñ ghūme sau baar
yādoñ kā thāme hue dāman chāñd havā aur maiñ
apne hī ghar meñ haiñ yā sahrā meñ garm-e-safar
kyūñkar suljhā.eñ ye uljhan chāñd havā aur maiñ
aaj ke daur meñ apnī hī pahchān huī dushvār
dekh rahe haiñ vaqt kā darpan chāñd havā aur maiñ
rañg kā haala ḳhushbū kā ik jhoñkā kuchh to mile
kab se haiñ āvāra-e-gulshan chāñd havā aur maiñ
parchhā.īñ ke pīchhe bhāge kho.e ḳhalāoñ meñ
nikle aap hī apne dushman chāñd havā aur maiñ
jaane kis kī kaun hai manzil phir bhī haiñ ik saath
ghuum rahe haiñ tīnoñ ban ban chāñd havā aur maiñ
uryānī kā dosh kise deñ apnī hai taqdīr
ḳhud hī jalā baiThe pairāhan chāñd havā aur maiñ
ghum rahe hain aangan aangan chand hawa aur main
DhunD rahe hain bichhDa bachpan chand hawa aur main
bhula-bisra afsana hain aaj us ke nazdik
kal tak the jis dil ki dhaDkan chand hawa aur main
KHwabon se be-nam jaziron mein ghume sau bar
yaadon ka thame hue daman chand hawa aur main
apne hi ghar mein hain ya sahra mein garm-e-safar
kyunkar suljhaen ye uljhan chand hawa aur main
aaj ke daur mein apni hi pahchan hui dushwar
dekh rahe hain waqt ka darpan chand hawa aur main
rang ka haala KHushbu ka ek jhonka kuchh to mile
kab se hain aawara-e-gulshan chand hawa aur main
parchhain ke pichhe bhage khoe KHalaon mein
nikle aap hi apne dushman chand hawa aur main
jaane kis ki kaun hai manzil phir bhi hain ek sath
ghum rahe hain tinon ban ban chand hawa aur main
uryani ka dosh kise den apni hai taqdir
KHud hi jala baiThe pairahan chand hawa aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.