git ke baad bhi gae jaun
giit ke ba.ad bhī gaa.e jā.ūñ
apnī āvāz sunā.e jā.ūñ
koī aisā ho ki dekhe jaa.e
maiñ jahāñ tak nazar aa.e jā.ūñ
is havas meñ ki añdherā na rahe
ghar meñ jo kuchh hai jalā.e jā.ūñ
phailtī jaa.e ḳhamoshī mujh meñ
aur maiñ shor machā.e jā.ūñ
apnī āñkhoñ ko shab o roz 'faroġh'
ḳhvāb hī ḳhvāb dikhā.e jā.ūñ
git ke baad bhi gae jaun
apni aawaz sunae jaun
koi aisa ho ki dekhe jae
main jahan tak nazar aae jaun
is hawas mein ki andhera na rahe
ghar mein jo kuchh hai jalae jaun
phailti jae KHamoshi mujh mein
aur main shor machae jaun
apni aankhon ko shab o roz 'farogh'
KHwab hi KHwab dikhae jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.