gila honTon pe lae ja raha hun
gila hoñToñ pe laa.e jā rahā huuñ
maiñ terā ġham manā.e jā rahā huuñ
vo mujh ko bhuul jaa.e jā rahī hai
maiñ is ko yaad aa.e jā rahā huuñ
badan thā aa gayā hai lauT ke ghar
maiñ tere paas paa.e jā rahā huuñ
sitam ye hai ki ab tū bhī nahīñ hai
garebāñ muñh chhupā.e jā rahā huuñ
jise dekho vo ro.e jā rahā hai
maiñ tere ḳhat sunā.e jā rahā huuñ
gila honTon pe lae ja raha hun
main tera gham manae ja raha hun
wo mujh ko bhul jae ja rahi hai
main is ko yaad aae ja raha hun
badan tha aa gaya hai lauT ke ghar
main tere pas pae ja raha hun
sitam ye hai ki ab tu bhi nahin hai
gareban munh chhupae ja raha hun
jise dekho wo roe ja raha hai
main tere KHat sunae ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.